huii hai shaam to aankhon mein bas gayaa phir tuu

January 27, 2009

huii hai shaam to aankhon mein bas gayaa phir tuu 

kahaan gayaa hai mere shahar ke musaafir tuu 


bahut udaas hai ik shakhs tere jaane se

jo ho sake to chalaa aa usii kii khaatir tuu

[shakhs = individual/person]


merii misaal ki ik nakhl-e-khushk-e-saharaa huun

teraa Khayaal ki shaakh-e-chaman kaa taair tuu

[misaal = example; taa_ir = bird]

[naKhl-e-Khushk-e-saharaa = dry tree in the wilderness]


main jaanataa huun ke duniyaa tujhe badal degii 

main maanataa huun ke aisaa nahiin bazaahir tuu 

[bazaahir = appear to be]


hansii Khushii se bichhad jaa agar bichadnaa hai 

ye har maqaam pe kyaa sochataa hai aakhir tuu 


‘Faraz’ tune use mushkilon mein daal diyaa 

zamaanaa saahib-e-zar aur sirf shaayar tuu 

[saahib-e-zar = wealthy]