to yaad aauungaa main.

December 22, 2008

tum merii aaakh ke tevar na bhulaa paaoge 

ankahii baat ko samjhoge to yaad aauungaa main.


hamne khushiyon kii tarah dukh bhii ikatthe dekhe 

safaah-e-ziist ko paltoge to yaad aauungaa main.


isii andaaz mein hote the mukhaatib mujh se 

khat kisii aur ko likhoge to yaad aauungaa main.


sard raaton ke mahakate hue sannaaton mein 

jab kisii phool ko chuumoge to yaad aauungaa main.


ab tere ashk mai honthon se churaa letaa huun 

haath se khud inhen pochoge to yaad aauungaa main.


shaal pahnaayega ab kaun disambar mein tumhen 

baarishon mein kabhii bhiigoge to yaad aauungaa main.


aaj tum mahafil-e-yaaraan pe ho magaruur bahut 

jab kabhii toot ke bikhroge to yaad aauungaa main.


haadase aayenge jiivan mein to tum hoke nidhaal 

kisii deewaar ko thaamoge to yaad aauungaa main.


is mein shaamil hai merii bakht kii taariikii bhii 

tum siyaah rang jo pahanoge to yaad aauungaa main.